02 October, 2016

Phone Ki Battery Life Kaise Badhaye

Android SmartPhones me Battery Life ki bahut Problem hoti hai. Sabhi SmartPhones ki bettery bahut kam chalti hai... 
Hum Jitna jyada apne Phone ko use karege, utni hi bettery kam chalti hai... Lekin iske alawa bhi aisi bahut sari problems/wajah hoti hain, jinse hamare phone ki battery bina wajah kharab ho jati hai.

☆ :→ To aaj iss post mein me Kuch Tips Btata hu, jinki madad se aap apne phone ki Bettery life ko badha sakte hain..! 

:- To Chaliye Jante Hain Aise hi Kuch khash Tips→
MylifeMyrule








1) Power Saving Mode ko ON Rakhe :-

Power Saving mode Ka Option Sabhi Phones me Nahi milta hai, Lekin agar aapke phone me Power Saving Mode Ka Option hai, to usko ON Rakhe. Iss se aapke phone ki bettery life me badhotri hogi..

2) Phone Ka Brightness Kam Rakhe :-

Apne Phone ka Brightness ho sake to ekdum se kam hi rakhna chaiye. Jitna jyada brightness/light hogi, bettery utni hi kam chalegi..

3) Screen Timeout ko Kam Rakhe :-

Screen timeout ko jinta ho sake, kam hi rakhna chaiye. Agar jyada time phone ki display on rahegi to bettery bhi jaldi jaegi. Isliye Time oup ko kam se kam hi rakhna chaiye. Jyadatar phones me kam se kam timeout 30 Seconds hota hai, isliye 30Sec. Hi rakhe.. 

4) Bluetooth or Wi-Fi ko Use hone par hi On Kare :-

Bluetooth or wifi ko use na hone par off kar dein.. Inko On hi Rakhne se Bettery bahut hi jaldi kharab hoti hai...

5) GPS Ko On na Rakhe :-

Jyadatar hum use na Hone par GPS ko On hi rakh dete hain. Aisa karne se battery par load jyada padta hai, or battery jaldi khatam ho jati hai.. Isliye GPS Ko cheqe kare or use na hone par Off hi rakhe...

6) Background Running apps ko Off Kare :-

Jyadatar apps off karne par bhi background on reh jati hain, or wo Data or Bettery dono ko kharab karti hain.. Isliye Settings me jakar apps ko cheqe kare or jo app background on mile unko off kare, or apne phone ki RAM Ko Clear kare...

7) Home Screen Widgets or Live Wallpaper Ko use Na kare :-

Home Screen Par Live Wallpapers ko Use karna bhi battery life ko jaldi khatam karne ki wajah hoti hain.. iske Alawa extra/unuseual widgets ko bhi home Screen par kam lagaye... 

8) Signal Strenght Par Dhyaan Dein :-

Phone ke Network Signal Strenght ke lagatar kam jyada hone se battery bahut jyama kharab hoti hai, isliye jab aap free ho to apne phone ko aisi jagah rakhe jaha Network sabse jyada rehta ho... Iske alawa jab aap Safar me ho to ho sake to phone ko off kar lein, kyuki Safar ke waqe signal bahut kam jyada hota hai...

9) Apps ko Update Karte Rahe :-

Apne phone ki regular apps ko jyada purani hone par Update kar lena chaiye, kyuki inke Version ke jyada purane hone par ye Slow work karti hain or phone par load jyada padta hai...

10) Battery Ko 90% Se Jyada Charge na Kare :-

Phone ko 90% se jyada Charge kabhi na kare.. Bettery ko ekdum full charge karne se weh jaldi kharab ho sakti hai, or iss se Battery kam Chalegi. Isliye Bettery ko 90% tak hi charge karna chaiye..

11) Phone Me Vibrate Mode ko Use Na Kare :-

Phone me vibrate mode ko use karna bhi bettery life khatam hone ki ek wajah hoti hai. Isliye Vibrate mode ko ho sake to use na kare ya kam use kare.. Ring or Key Vibration ko Off Rakhe..

☆ Other Importent Tips :-

:- Mobile me Non-essential Notifications ko Off Rakhe..

:- Mobile me Koi acha sa Battery Saver App Install Rakhe, taki Battery Status ko pata chalta rahe... Example- DU BetterySaver..

:- Phone ko Charge karne ke liye Phone Sath Aaye Hue Charger ko Hi Use karna chaiye. Other Charger Khatarnak ho Sakta hai..

यह भी पढ़ें --->









Post a Comment

Whatsapp Button works on Mobile Device only

Start typing and press Enter to search