Duniya me Android sabse jyada use kiya jane wala platform hai.. Android me aise bahut se special features hote hain, jinko agar hum dhyaan se use kar lein, to hamare bahut sare kaam ban sakte hain... Android market me aise bahut sare third-party tools hain, jo bahut useful ho sakteKhoya Hua Phone kaise Khoje hain..
Also Read This Post→ Khoya Hua Phone Kaise Khoje
:→ Android me Costomisation bahut jyada useful ho sakte hain, jisme hum khuch changes karke hum apne Android Use ke Experionce ko or jyada khash bna sakte hain..Isliye, Aaj Iss Post Me Main Aapko Aise Kuch Khash Tips Btauga, Jinko Try Karke Aap Android Uses Ko Jyada Khash Bna Sakte Ho.. Kuch Aise Tips Jinke Bare Me Jyadatar Log Kam Hi Jante Honge..
:- Ab aap meri puri post ko dhyan se padh kar apne phone me kuch changes karke apne Android Use ko or Jyada khash bnaiye :→
Power Saving Mode
:→ Power save karne ke liye Setting Menu par jakar Power saving Mode ko on kar dein.. Power Saving Mode sabhi phones me nahi milta, isliye jinke phone me ye ho wo isko try kar sakte hain.. Market me new aane wale lagbhag sabhi phones me yeh feature milta hai... Iss se aapke phone ki Battery jyada chalti hai..
Read→ Phone Ki Battery Life Kaise Badhaye
Third Party Keyboard
:- Apne Andriod Device me aap kai tarha ke keyboard use kar sakte ho.. Inse aapki typing easy ho sakti hai.. Play Store par aapko bahut sare ache third party keyboard mil jaege, jinki madad se aap apni pasand se type kar sakte ho. Jaise - Hindi Me Type & Stylish Font etc.
Launcher
:- Agar aapko apne phone ka look acha nahi lagta ho, to aap apne phone me launcher install karke uska pura look change kar sakte ho.. aapko play store par bahut sare ache launcher mil jaege , Jaise- GO Launcher, Hola Launcher, iSwipe & etc.
Default Aap
:- Android Device ki Settings me jakar Clear Default par Tap kare.. Iss se sabhi Default Settings & Apps Remove ho jaege. Iske baad aap apni pasand ke apps ko Default Set kar sakte ho..
Read→ Mobile Me Network Problem Ko Kaise Door Kare
Google Now
:- Google Now aapke Personal Asistant ki tarha kaam karta hai.. Aap Google Now me apni Prefrence Bhar sakte hain.. Iss se aapko time time par jaruri notifications milti rehege.. Iss se aapko har jaruri jankari ke liye internet par nahi jana padega..
Removeble Battery
:- Smartphone ki battery bahut jaldi khatam hoti hai.. kai baar jarurat hone par problems ko face karna padta hai, or hmare pass or koi other option nahi hota... Jyadatar Android phones ki battery Removeble hoti hai, isliye aap jrurt padne par iski Battery ko change kar sakte hain, or jaruri kaam poore kar sakte hain...
Read→ Phone Ko Jaldi Charge Karne Ke Kuch Khash Tips
Folders
:- Android Phone ki yeh Khasiyat hoti hai, ki isme aap apni apps ko Folder bnakar alag-alag category me rakh sakte hain.. Iss se content jyada nahi hote or apni jrurt ki app aashani se mil jati hai..
Bookmarks
:- Android Phone Khasiyat hai ki isme Google Chrome Brouser par Google Account me sign in karne par aapko Bookmarks or Prefrence apne aap hi save ho jate hain..
Mobile Data
:- Aap Android Phone me Google Chrome me 'Reduce Data Uses' Option ko On kar sakte hain.. Iss se internet Brousing me Mobile Data kam kharch hota hai..
:→ To Aap inn Easy tips ko try karke apne phone me kuch changes karke apne android using experionce ko or jyada acha bna sakte ho....
Post a Comment