02 October, 2016

Hacking or Hackers Se Bachne Ke Kuch Khash Tips

Aaj ka time internet ka time hai or Har koi internet use karta hai, isliye jyadatar kaam online hi kiye jate hain.. 

Lekin jaise jaise internet ki using jyada hoti ja rahi, waise waise aapko internet ke mamle me jyada careful rehne ki jarurat hai, kyuki aaj kal Hackers bahut jyada ho gaye hain, jiski wajah se aapke kisi bhi type ke personal account Hack kiye ja sakte hain.. 

👉 Youtube Go ki besic jankari ke liye yaha click kare


 Isliye aapko Hackers or Hacking se bachne ke liye kuch khash baton ka dhyaan rakhne ki jarurat hogi or internet use karte time bahut jyada Careful rehna hoga, warna aapka koi bhi Internet account Hack ho sakta hai..

To Friends,
                    Aaj iss post mein me aapko Hackers or Hacking se bachne ke kuch khash Tips / Upaay btauga, jinko follow karke aap ekdum Safe or Secure Browsing kar sakte ho..


➡ Hacking or Hackers Se Bachne Ke Kuch Khash Tips :- 

www.mylifemyrule.com


1) Froud Website/Apps Se Bachein :-

:- Internet par aisi bahut saari froud websites or apps hain, jo aapke sath dhokha kar sakti hain.. Aisi websites hain, jo Bank websites ke jaisi hi bani hoti hain, or visitors ke sath dhokha karti hain. Unka password or other personal jankari apne paas save rakh leti hain.. 

Isliye pehle inn websites ke bare me poori jarha pta kar lena chaiye..
Esi tarha bahut saari Banking apps froud hoti hain. Isliye aisi kisi bhi website or apps ko use karne se pehle unki Reality check jarur kar lein..
Play store se app download karne se pehle uske provider ke baare me pehle pta kar lein,ki kahin wo fake or froud to nahi hain.. Aisa karke aap apne aap ko Hackers se safe rakh sakte ho..

2) Spam Emails Se Rahe Careful :-

:- Sabhi internet users Email use jarur karte hain, or aapke email account par kuch unknown email aate rehte hain.. Inn Emails me sabse jyada aapko impress karne ke liye ekdum se saste offers ya other kisi Topic par hote hain. Sabse jyada Spam emails Lotery Win se related hote hain.. Aise emails froud or Spam bhi ho sakte hain.. Inka main target hota hai kisi company ka name lekar aapke sath dhokha karna..

Iss type ke kisi bhi email ko open na kare, kyuki Unknown persons ke email ke attachment me Spyware ho sakte hain..

3) Key-Loger Ka Rakhe Dhyaan :-

:-  Aaj-Kal Jyadatar Internet users Cyber Cafe ( Internet Cafe ) ko use karte hain, lekin Kuch Cyber Cafe users ke sath dhokha kar dete hain.. Yeh apne computer ek software "Key-Loger" Rakhte hain..

➡ "Key-Loger" ek computer software hai, jisko computer par install karne se Computer keyboard par enter kiye jaane wale har key ko record kiya ja sakta hai.. Iss se alag alag websites par kiye gaye log-in details ko record kiya ja sakta hai.. 
Mtlb agar aap Cyber Cafe par jakar log-in karte hain, to aapke har ek account ki log-in detail ko save kiya ja sakta hai, or phir aapke account ko Hack kiya ja sakta hai.. Iss Key-Loger ka pta karne or Bachne ka koi rasta nahi hota hai..
Isliye Cyber Cafe ko use karte time careful rahe..

4) Public Area Me Personal Accounts Use Na Kare :-

Jyadatar log public area me apne personal accounts, jaise- FB, Twitter, Mobile Wallet Apps etc.ko log in karte hain, or use karte hain.. Aisi Jagah par aisa karne se aapka koi bhi account Hack kiya ja rakta hai.. Iski wajah hoti hai ki Hackers ko aapki log in information, jaise- Log In ID, Passwords etc.ka pta lag sakta hai..

Aisa hone par simple hai, ki aapka account hack ho jaye, isliye public areas me apna koi bhi personal account open or use na kare...

5) Froud Calls Se Rahein Door :-

:- Aaj kal hacking ka ek or tarika use kiya jata hai, jisme call karke aapse jhoot bola jata hai, or Bank ke name se aapke personal Bank account Numbers, ATM Number etc.pucha jata hai..
Agar Bank ke name se aapke pass bhi aisi calls aati hain, to carefull ho jaye, kyuki koi bhi Bank, kisi se bhi call karke aisi information nahi mangta hai.. Yeh Rule nhi hota..

- Isliye agar koi bhi aisa call aaye to samjhe ki wah call Froud hai, or koi aapki personal information lekar aapke account ko hack karne ki kosis kar raha hai..

6) Mobile Me Save Na Rakhe Passwords :- 

:- Mobile me kisi bhi type ki log-in info or passwords save rakhna hacking ki wajah ban sakta hai, kyuki koi bhi aapke mobile se yeh informations chura sakta hai..

Sabhi Browsers or Apps Kisi bhi account me log-in karne se pehle aapke passwords ko save karne ya na karne ke bare me confirmation mangti hain, isliye kabhi isko save na kare or NO kar dein...


To Friends..,
                       Agar aap inn tips ko follow karoge, or apne personal accounts ko use karne me careful rahoge, to aap apne sabhi type ke personal accounts ko Hack hone se bacha sakte ho, warna koi bhi Hacker aapke kisi bhi account ko aashani se Hack kar sakta hai...



READ ALSO ➡ Kuch Khash Tech Tips, Jinse Honge Aapke Kai Kaam Aashan


➡ Sites Ki Safety Check Karne Ka Online Tarika



Post a Comment

Whatsapp Button works on Mobile Device only

Start typing and press Enter to search